jab kalam humare sath thi

hum bhi kavita likhte the...
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi shabdon ke melon mein
ik chhote bachhe jaise hanste the...
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi kavita likhte the...

mele mein jab aksar unko dekha karte the...
us chilman ke pichhe ki muskan pe hum bhi utna hi marte the..
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi kavita likhte the...

choodi ki chhan chhan si jab ghar ke pichhwade sunai deti thi...
woh sham dhale jab panghat pe pani bharne jaya karti thi...
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi kavita likhte the...

woh door se ate dekh jhhat se jake chhup jati thi...
fir lakh manane par dheere se sharma ke samne ati thi...
woh dheeme se jo apna hath mere sar pe sehlati thi...
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi kavita likhte the...

jab jab hum gaon chhod ke jate the...
woh besabri se pani par patthar fenka karthi thi...
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi kavita likhte the...

jis pal hum wapas ate the...
woh daud ke gale lag jati thi
fir phoot phoot ke rokar mujhko kosa karti thi..
kyun jate ho humse door yehi bol ansun tapkati thi...
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi kavita likhte the...

fir bas ik pyari si muskan ke sang, mujhko woh gale lagati thi...
fir kabhi na door jane ka wada le mujhko apne pas bithati thi...
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi kavita likhte the...

woh pyar hi tha ke meri rachna thi...
par aisi hi to meri woh kavita thi...
bas yunhi gehri sochon mein har pal usko hi pate the...
jab kalam humare sath thi...
tab hum bhi kavita likhte the...

Comments

Sanket Murarka said…
Kya Baat, Kya Baat and Kya Baat !
Rupesh Mishra said…
Bahut badhiya kaam kiya hai aapne, Kavitri Basu ji....apne is abhyaas ko kaayam rakhiye aur jo mann ke darwaje pe thak-thak ke aapke khayaal dastak diya karein, unhe aap ba-izzat apne dil-o-dimaag me rehne ki izzazat de dein....
sunanda said…
@ rupesh: yeh to apne aap mein ek kavita si ho gayi janab...
Unknown said…
Kya Baat! itni saari hindi to janamon se nahin suni :):)
Unknown said…
wow!!Aap kavita bhi likhti hai...
sunanda said…
@vivek: sanket se prerit ho gayi thi....to socha ke do char chhand main bhi bikher dun in pannon pe:)

Popular posts from this blog

my 25th birthday

"Change"