jab kalam humare sath thi
hum bhi kavita likhte the... jab kalam humare sath thi... tab hum bhi shabdon ke melon mein ik chhote bachhe jaise hanste the... jab kalam humare sath thi... tab hum bhi kavita likhte the... mele mein jab aksar unko dekha karte the... us chilman ke pichhe ki muskan pe hum bhi utna hi marte the.. jab kalam humare sath thi... tab hum bhi kavita likhte the... choodi ki chhan chhan si jab ghar ke pichhwade sunai deti thi... woh sham dhale jab panghat pe pani bharne jaya karti thi... jab kalam humare sath thi... tab hum bhi kavita likhte the... woh door se ate dekh jhhat se jake chhup jati thi... fir lakh manane par dheere se sharma ke samne ati thi... woh dheeme se jo apna hath mere sar pe sehlati thi... jab kalam humare sath thi... tab hum bhi kavita likhte the... jab jab hum gaon chhod ke jate the... woh besabri se pani par patthar fenka karthi thi... jab kalam humare sath thi... tab hum bhi kavita likhte the... jis pal hum wapas ate the... woh daud ke gale l...
Comments